Dil aik ayaina hai agar wo badi sy pak hai
To es mai khuda bhi nazar aasakta hai
Apni tanhae mai tanha hi achi hun
Mujhy zaroorat nahe do pal k saharo ki
Aashna sy chaihro kai ajnabi rawaeyo ko
Saih kar muskura daina afreen azeeyat hai
Fasana keh rahy hain aaj apni muhabbat ka
Khuda aisa kary maira kahe par naam aajayai
Bicharnai ki itni jaldi the osy
Khud ko chor gaya adha mujh mai
O dil tor kai janai walay dil ki bat batata jaa
Mein dil ko kya samjhaun mujh ko bhi samjha thaa jaa
Parindo ki tarh mujhy bhi shajar chor kai jana hai
Tarsaa karyngy log phir sy mairy shor ko
Tairy rabto mai waqfy tairy bhoolnai ki adat
Kahi door ho na jana u nahe door raihty raihty
Ao daikho mairy chaihro kai khadohaal ko ab
Maan jao gy Muhabbat bhi nishaan chorti hai
Rishto ko sambhalnai kai leyai jhukna parhy to jhuk jayai
Laiken bar bar ap hi ko jhukna parhy to ruk jayai